Mujhe apne zabt pe naz tha sar-e-bazm raat ye kya hua ••• IQBAL AZEEM Mujhe apne zabt pe naaz thā sar-e-bazm raat ye kyā huā▪ Meri aañkh kaise chhalak ga.ī mujhe rañj hai ye burā huā Merī zindagī ke charāġh kā ye mizāj koī nayā nahīñ ¤ Abhī raushnī abhī tīrgī na jalā huā na bujhā huā ¤ Mujhe jo bhī dushman-e-jāñ milā vahī puḳhta-kār-e-jafā milā ♡ Naa kisī kī zarb ġhalat padī na kisī kā tiir ḳhatā huā Mujhe aap kyuuñ na samajh sake ye ḳhud apne dil hī se pūchhiye ¤ Merī dāstān-e-hayāt kā to varaq varaq hai khulā huā ¤ jo nazar bachā ke guzar gae mire sāmne se abhī abhī ye mire hī shahr ke log the mire ghar se ghar hai milā huā hameñ is kā koī bhī haq nahīñ ki sharīk-e-bazm-e-ḳhulūs hoñ na hamāre paas naqāb hai na kuchh āstīñ meñ chhupā huā Mujhe ik galī meñ paḌā huā kisī bad-nasīb kā ḳhat milā kahīñ ḳhūn-e-dil se likhā huā kahīñ āñsuoñ se miTā huā ¤ mujhe ham-safar bhī milā koī to shikasta-hāl mirī tarah ¤¤¤ ...